Sunday, July 17, 2022
Sab
se pahlay samjlay ki nazr e bud misl e zahar hain.jisko Allah ta’al ne
b’az insano ki aankhon me paida kar diya.jis tarah bichhu ka dank
hain,aur sanp k munh me zahar de diya hain.esi tarha kuch insano ki
ankhon me zaharili taseer paida kardi gayi hain.nazar sheesha to kya
pattha ko tod deti hain.dariyaon k pani ko sukha deti hain.aur insan ko
jab lag jati hain to kabristan me pahocha deti hain.nazar jab haray
bharay baago ko lagti hain to darakhton ko sukha deti hain.aisa nahi ki
nazar sirf insano ko laga karti hain,ye insan makaan dukaan,bag
khet,karkhana,aamdani,paidavar,maal daulat,garz ki har chiz ko lag jati
hain.
NAZAR E BAD KI ALAMATAY
Ye
hain ki jab insan ko lagti hain to achanak bimar ho jata hain,badan me
susti bhar jati hain,dimag kaam nahi kar pata,yaddast kamzor parh jati
hain,badan me kamzori aajati hain,chid chidapan aajata hain,gumsun rahta
hain,wo khud nahi samjpata k i usay kya huva hain.jab karobar me lagti
hain to chalta huva karobar ruk jata hain aur din b din sell girti jati
hain,aur dukan ya showroom band karnay ki naubat aajati hain.
agar
janwar ko lagay to janwar dudh dena band kardeta hain,bimar ho jata
hain,aur agar waqt pe elaj na kiya jaen to maut bhi ho jati han.
agar
bacho ko lagti hain to bacha rota rahta hain,zid karta hain,na khelta
hain na thik se sota hain aur na kahin chain se baithta hain.bukhar bhi
aajta hain.Rupay/daulat ko nazar lagti hain to barkat khatm ho jati hain
aur rupay ki tangi hoti hain,kharchay barh jatay hain,income kam ho
jati hain,yahan tak ki sari bachat bhi khatm hojati hain aur insan qarz
me mubtila ho jata hain.jaisay rupay aur uskay darmiyan ek dushmani si
ho jati hain.
aisy
kai alamatay hain.aur ye sahar jadu se milti julti alamatay hain.to
kisi amil se rabta karnay se pahlay meri es post me diye qurani w ahadis
ki duaon ka sahara le ke khud elaj karay aur dekhay ki fark ho raha
hain ya nahi?agar 40 din kisi amal ko karay aur koi fark na ho to kisi
achay amil se rabta kar saktay hain.bahot mumkin hain ki aap jisay sahar
jadu ka mamla samj rahay hain wo nazar e bad ki tabahi ho.
sahar
ki aur nazar ki alamatay ek si hain,esliye aap ko lagay ki shayid kisi
ne jadu tona kiya hain aur aap ek musibat se dusri me gir jaen,kyu k
amil aksar hazrat bagair fees to kaam nahi karaengay?
sahar aur nazar ki alamatay kuch miti julti kyu?esay main yahan samjanay ki koshish karta hun,
Nazar
e bad lagana bhi ek amal sifly hain.aur ye baqaeda sikha jata hain,aur
hamaray gaon me to ye aam hain gair muslim me jo ye sifli amal kartay
hain.hamaray gaon me ek kaum hain,gair muslim jiska bacha bacha sifli ka
mahir hain.agar parinday ko ek nazar dekhlay to wo zameen par gir
parhta hain.agar kisi k ghoday ko ek nazar dekhlay to ek saat me wo mar
jata hain.aur ye log apnay ek aur amal k liye bhi mash'oor hain ki wo ek
post card me ibarat likh detay hain agar usay koi bar bar parhaega to
wo sakht bimar ho jata hain.aur agar koi kisi k jodo me ya sinay me hath
me dard paida karna chahta hain to wo bhi kar detay hain.
enlogon
se hi pata chala hain ki nazar e bad ka amal sikhnay k liye wo khas din
se sub'ah apni potti ko ek neem ki sali se chakhtay hain,kuch din k es
amal se usmay nazar e bad ki quwat e bad paida ho jati hain aur wo jisko
dam bhar dekhlay to usay lag jati hain.
aur
ye bhi mujay pata chala ki kuch insan me bhi ye nazar e bad ki quwat e
bad apnay aap paida ho jati hain wo kyu?wo bichara to aisa koi amal nahi
karta phir bhi uski nazar sab ko lag jati hain.jisay aam tor par nazar
ka bhaari kaha jata hain.ye us sakhs ko hota hain jisay bachpan me pait
me kidaay [kaddu danay] hotay hain.pait k kiido ki khurak bhi insan k
aat me rahi potii hi hain aur jiskay pait me ek lambay waqt tak ye kiday
rahtay hain to us insan ki nazar me bhi ye asrat e bud paida ho jata
hain aur uski nazar bhari ho jati hain.aisay insan ko jab bhi koi chiz
maloom ho to
yakadu
allazeena kafaroo layuzliqoonaka biabsarihim lamma samiAoo alzzikra
wayaqooloona innahu lamajnoonun Wama huwa illa thikrun lilAAalameena
parh liya jaen.kyu ki eskay parhnay se Allah ta'ala nazar e bud ki asar ko zael kar deta hain,taseer ko rok deta hain.
aur
agar kisi shakhs ko maloom ho jaen ki uski nazar bahot sakht hain to
usay chahiye ki wo aisy kisi chiz ko nazar bhar dekhay hi nahi.aur kabhi
dekh bhi layto usi waqt usko ye dua parhni chahiye...
hazrat
shaikh abul qasim rahmatullah alayh ne Sirat me byaan kiya hain ki ek
baar ek larhka sakht bimar huva ki marnay k kareeb ho gaya tha to ek roz
mainay nabi e akram sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ko khwab me
dekha ki aap sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ne farma rahay hain
ki Tu aayaat e shifa se abtak kyu gafil raha?[matlab en aayaat k zariye
elaj kyu nahi kiya?]
AAYAAT AS-SHIFA YE HAIN....
Yaa
ayyuha an-naasu qad ja’atkum maw`izhatun min rabbikum wa shifaun limaa
fee as-sudoori wa hudan wa rahmatun lil-mumineen. (Yunus, 10:57)
*ES
AYAAT SE ELAJ KA TAREEQA YE HAIN KI BISMILLAH W SURAH E FATEHA SHARIF
PARH KAR 21 BAR YE AAYAT E SHIFA SHARIF PARHA JAEN AUR PANI PE DAM
KARKAY NAZR E BUD K MARIZ KO PILAYA JAEN AUR SUB'AH SHAM 3-3 BAR AAYAT E
SHIFA PARH KAR MARIZ PE DAM KIYA JAEN.11 DIN K AMAL SE ASAR ZAEL HO
JAEGA.AUR EN BISMILLAH W SU.FATEHA SHARIF K SATH AAYAT SHIFA CHINI KI
RAKAABI PE LIKH KAR 3 WAQT PANI SE DHO KAR PILAYI BHI JA SAKTI
HAIN,ESSAY BHI 11 YA 21 DIN KAR SAKTAY HAIN.
*AUR
YE AAYAT E SHIFA HAR MARZ CHAHAY CHOTA YA BARHA KOI BHI LA ELAJ MARZ KA
ELAJ HAIN.UPAR LIKHI KISI BHI TARKEEB SE ELAJ KIYA JAEN,INSHALLAH HAR
MARZ SE SHIFA HASIL HOGI.
BACHO KO NAZAR LAGNA:
Jo
bachay sehatmand aur khubsoorat hotay hain wo aksar nazar e bud ka
shikar hotay hain,aur aksar apnay gharwalon ki nazar lag jati hain.eska
ek elaj to upar likh diya ki kisi bhi chiz ko ya aisay bachay ko dekh
kar "masha Allah wala quwat ila billah." kahay.
chotay
bachho ko nazar lag jaen to 3 bar su.kausar parh kar chehray pe dam
kiya jaen.aisa 3 din tak karay,inshallah essay bhi asar zael ho jata
hain.
MAKAN W DUKAN KO NAZAR SE BACHANA:
agar
apnay makan par ya dukaan upar "MASHALLAH"khubsoorati se likhwaya jaen
ki logon ki nazar uspay parhay to inshallah makaan w duakan buri nazar
se mahfooz rahti hain.
KHUD KO YA KISI GHAR K FARD KO NAZAR LAGNA:
upar
mainay tareeqa bataya hain ki kis tarha se nazar dur ki ja sakti
hain.ek aur tareeqa nazar ko dur karnay ka ye hain ki ek sufaid kagaz pe
khanay k zard rang se ek bar surah e fateha ek bar aaytul kursi aur aur
4ro Qul ek ek bar likh kar usay mariz k galay me taweez me rakh kar
pahnaye aur sub'ah w sham 3 din tak ye hi surah ya mariz pe dam ki jaen
ya pani pe dam karkay pilaya jaen.
*esi
tarha aap ye dhaga bhi bana kar estemal kar saktay hain wo yun ki kisi
sabz dhagay pe ek girah de aur ek bar ye aayat par kar dam karay aur
girah laga de..
esi
tarha dhagay pe 11 girah de aur har girah pe ek bar dam karna hain.es
dhagay ko aap mom jama karkay galay me pahnay ya apnay bachho ko ya
aurat ko ya samaan me ya dukan me ya janwaron ko pahnaye inshallah nazar
ka asar zael ho jaega.ye dhaga main khud dam karkay rakhta hun aur
taqseem karta hun aur bahot hi mufeed hain.
HAMELA W BACHHO KO NAZAR E BAD SE MAHFOOZ RAKHNAY K LIYE:
En
aayaat sharifa ko zafran w arq gulab se ya khanay k zard rang se en
ayaat ko likh kar momjama karkay hamela k sidhay bazu pe bandh de to
hamela w uskay shikam ka beta nazar e bad se mahfooz rakhta hain.bachay
ki wiladat k bad esay bachay k galay me pahnaye to wo bhi har nazar k
khatrat se mahfooz rahta hain.
yahan mainay nazar e bad w ussay bachnay k aur nazar e bad k asar ko dur karnay k tareeqay bataye hain,jo ba aasaani aap kar saktay hain.ummid hain ki jo bhi mere bhai ya bahan es post se faeda uthaengay wo mere murshid aur mere liye dua karaengay aur main bhi dua karta hun ki Allah ta'ala apnay habib sallallahu alayhi w aalehi w sallam aapko aapkay ahl o ayaal ko karobar ko har buri nazar se bachaye aameen...!
Global Visa Consultants Lahore
Recent Comments
Categories
Search
Global Visa Consultant Lahore
About Me
Qurani Surah
Dalial Al-Khayrat
Wazaif
Pages
- Dua Saifi
- Dua Aman
- Dua Suryani
- 40 Rabbana
- Dua Mughni
- Dua-e-Noor
- Dua-e-Jamilah
- Beautiful Dhikr
- Names of Allah
- Maqbool Duain
- 99 Names of Allah
- Dua Haikal Seven
- Dua Ganj-ul-Arsh
- Dua-e-Akasha
- Ayat-e-Shifa
- Hizbul Bahr
- Durood Lakhi
- Dua-e-Masura
- Dua Qufal Six
- 40 Ya-Rabbana
- Wazaif of Week
- Bashair-al-Khairat
- Durood Muqaddas
- Surah Yaseen Wazifa
- Dua Musbaat Aashar
- Dua Qadah Muazzam
- Durood Akseer-e-Azam
- 99 Names of Muhammad
- Surah Yasin 7 Mubeen Wazifa
- Some Essential Everyday Duas
Popular Posts
-
FOCUS ON YOUR CHARACTER There are two particular hadiths that are extremely important for Muslims to keep in mind; one establishes the fou...
-
In common folklore, angels are thought of as good forces of nature, hologram images, or illusions. Western iconography sometimes depicts a...
-
The concept of “offensive jihad” ( jihād al-ṭalab ) is a legal term in classical Islamic law that has been misunderstood and abused by bot...
-
I. Introduction & Methodology When dealing with the Islamic perspective of any topic, there should be a clear distinction between the no...
-
Prediction of Events by Jesus (pbuh) In the Bible we can find the following four passages wherein Jesus (pbuh) predicts a great event: &qu...
-
Is it that you hold your Mushaf, are reciting from it and yet your mind is wandering from the food in the fridge to the weather outside? You...
-
In the linguistic sense, the Arabic word “jihad” means struggling or striving and applies to any effort exerted by anyone. In this sense a s...
-
Complete reading of one of the most amazing books on Salah in the Urdu language - 'Love of Allah [swt]: Experience the Beauty of Salah...
-
Praise be to Allah With regard to the ignorant person who does acts of kufr or shirk, one of the following two scenarios must apply: 1. ...
-
Actions that put a person beyond the pale of Islam Note that Allaah has commanded all people to enter Islam and to adhere to it and to bewar...
Blog Archive
-
▼
2022
(28)
-
▼
July
(17)
- Qurani Surah Benefits
- Ramadan Kareem
- Zakat Ul-Maal
- Easy Good Deeds
- What Can You Do in 10 Minutes
- What You can do in 1 Minute
- Night Prayers in Ramadan/Fasting
- Salaat al-Tawbah (the Prayer of Repentance)
- Wazaif for Debt Recovery
- Qarz ki Adaigi ka Wazifa
- Surah Yaseen ka Wazifa
- Surah Al-Fatihah
- Ya Salamo ka Wazifa
- Tangdasti Door Karne ka Wazifa
- Nazar e Bad ka ilaj
- Black Magic Cure in Islam
- Benefits of Ramadhan Fasting
-
▼
July
(17)
HOW TO SEEK BENEFIT IN YOUR RECITATION OF QUR’AN
Is it that you hold your Mushaf, are reciting from it and yet your mind is wandering from the food in the fridge to the weather outside? You...
0 comments:
Post a Comment